Wednesday, February 16, 2011

poem of parting students

Raah dekhi thi is din ki kabse ,
Aage ke sapne saja rakhe the naajane
kab se .
Bade utavle the yahaan se jaane ko ,
Zindagi ka agla padaav paane ko .
Par naa jane kyon … Dil mein aaj kuch
aur aata hai,
Waqt ko rokne ka jee chahta hai.
Jin baton ko lekar rote the Aaj un par
hansi aati hai ,
Na jaane kyon aaj un palon ki yaad
bahut aati hai .
Kaha karte the …Badi mushkil se do
saal seh gaya ,
Par aaj kyon lagta hai ki kuch peeche
reh gaya ????
Na bhoolne wali kuch yaadein reh
gayi ,
Yaadien jo ab jeene ka sahara ban
gayi .
Meri taang ab kaun kheencha karega ,
Sirf mera sir khane kaun mera peecha
karega .
Jahaan 2000 ka hisaab nahin wahaan 2
rupay ke liye kaun ladega ,
Kaun raat bhar saath jag kar padega ,
KAUN MERI gaadi mujse pooche bina
lejayega ,
Kaun mere naye naye naam
banayega .
Mein ab bina matlab kis se ladoonga ,
Bina topic ke kisse faalto baat
karoonga ,
Kaun fail hone par dilasa dilayega ,
Kaun galti se number aane par
gaaliyaan sunayega .
Tapri mein Chai kis ke saath piyoonga ,
Wo haseen pal ab kis ke saath
jiyoonga,
Aise dost kahaan milenge Jo khai mein
bhi dhakka de aayein ,
Par fir tumhein bachane khud bhi
kood jayein .
Mere gaano se pareshaan kaun hoga ,
Kabhi muje kisi ladki se baat karte
dekh hairaan kaun hoga ,
Kaun kahega saale tere joke pe hansi
nahin aai ,
Kaun peeche se bula ke kahega. . aage
dekh bhai .
Movies mein kiske saath dekhhonga ,
Kis ke saath boring lectures jheloonga ,
Bina dare sachi rai dene ki himmat
kaun karega .
Achanak bin matlab ke kisi ko bhi dekh
kar paglon ki tarah hansna ,
Na jaane ye fir kab hoga .
Doston ke liye professor se kab lad
payenge ,
Kya hum ye fir kar payenge ,
Raat ko 2 baje poha khane station
kaun jayega ,
Tez gaadi chalane ki shart kaun
lagayega .
Kaun muje mere kabiliyat par bharosa
dilayega ,
Aur jyada hawa mein udne par
zameen pe layege ,
Meri khushi mein sach mein khush
kaun hoga ,
Mere gam mein muj se jyada dukhi
kaun hoga …
KEH DO DOSTON YE DOBAARA KAB
HOGA

1 comment: