Main nahi aaunga
Main nahi aaunga..
Un bheege gaalo me, rukhe baalo me,
Chand sawalo me, jhukti daalo me..
Main nahi aaunga..
Dosto ki thitholi me, mohalle ki holi me,
Behna ki doli me, koyal ki boli me..
Main nahi aaunga...
Un lehraate pardo me, unsune fardo me,
Raat se bhi kaale dardo me...
Main nahi aaunga..
Maa ke aanchal me, kaare Kajal me,
Bin barse badal me, gungunati aukhal me...
Main nahi aaunga...
Main nahi aaunga..
Main kyu aau, jab dana-pani uth gaya..
Panchi akela, apno se rooth gaya..
Main kyu aau, jab koi naamleva nahi..
Maut bhi zindagi si jaanleva nahi..
Main kyu aau, jab dukh bhi haar gaya..
Bar baar uthe kadam, par aham maar gaya..
Main kyu aau,jab tum mujhe nahi pukarte..
Main kyu aau, jab tum mujhe nahi niharte..
Main nahi aaunga..
Main nahi aaunga..
Ab jeete ji marr jaunga, par main nahi aaunga,
Apni saanso ko apne me hi dafnaunga..
Apni hi mayyat pe khushi ki mausiqi gaunga,
Haar kar toot jaunga, bikhar jaunga..
Par main nahi aaunga..
Main nahi aaunga.. Main nahi aaunga...