kya jane kyu ye "kyu" kyu hota hai..
na jane jab ye "kyu" hota hai tab kya-kya hota hai..
sab bewajah hota hai..
sab lajawaab hota hai..
log kehte hai.. ki jab aisa hota hai.. tab aisa hi jota hai..
par jab aisa hota hai to aisa hi kyu hota hai..
ye "kyu" aakhir hota hi kyu hai. kaash, ye kyu na hota.. phir sochta hu.. agar ye "kyu" na hota.. to kya hota..phir sochta hu ye "kyu" hi achcha hai..
itne "kyu" kyu hai.. aakhir ye "kyu" kya hai..??
kuch log isse PYAR kehte hai..
par hum kyu, akhir kyu, ye karte hai.. jab itne "kyu" se hum darte hai.. phir itne "kyu" se hum kyu ladte hai..
har pal socha karte hai..bas socha karte hai.. sirf socha karte hai.. ab to apne saaye se b darte hai..hum raat se pucha karte hai..jugnu se baate karte hai.. na jane is "kyu" ko kyu karte hai...na jane is "kyu" ko kyu karte hai.
No comments:
Post a Comment