*Conversation with God*
Raaste naapta, bhatakta sa, aaya tere dar par,
Sookhi aankhe, dil me gubaar, saanse bezaar..
Lakho sawaalo ke baadal liye, chaahto ke saanp liye,
Chala aaya hoo.n, chehre pe shikano.n ke Chenaab liye..
Hazaro khwahishie.n, laakho arziyaan, an'ginat shikayate,
Zindagi ki andhi daud me bhool gaya, teri aa'yatei.n..
Tere dar ki garm seedhiyo.n pe mila woh thanda sukoo.n,
Har badhte kadam ke saath, kam hote gaye mere zunoo.n..
Mit gaya ranz-o-gam, mit gayi meri hasti,
Tera noor barasta raha, mera wajood-- bas masti..
Jab teri nazar aaya, kho gaya ehsaas, kho gaya fareb,
Iss kadar beparda hua tere saamne, ki ban gaya naseeb..
Shikayato.n ke karavaa.n liye aaya tha tere darr,
Bas, jhuki si aankhe.n hi kar paya tere nazar..
Ro padi banzar aankhe, gamo ka Sota(geyser)beh gaya,
Dard, dar-b-dar hua, mujhe alvida keh gaya..
Arziyoo.n ke band lifafe, khul na sake tere saamne,
Aaankhe band hui khud-b-khud, mann laga khudko naapne..
Dil-e-veera.n bhar gaya, teri mehr ke noor se,
Manzil ko paa liya, kho gaya raasta, aaya tha door se..
Sunte the teri baadshahat-e-dil ke kisse,
Tere roo-b-roo, bikhar gaye meri MAIN(I) ke hisse
Tere darr ki khushboo me khud ko paaya,
Phir jaha.n nazar gayi, bas TU hi TU nazar aaya..
Jaltarang bajj utthe, saaz-o-saazinde kho gaye,
Mujhe Tu, Tujhme Main, banda-khuda ek ho gaye..
Insha-allah....maazaa agaya
ReplyDeleteTwitter accpet kar plz....
nice one baba...
ReplyDelete