Monday, October 10, 2011

Main roya pardes....



Main roya pardes mein bheega maa ka pyaar, Dukh ne dukh se baat ki bin chitthi bin taar

Chota karke dekhiye jiwan ka vistaar, Aankhon bhar aakash hai baahon bhar sansaar

Leke tan ke naap ko ghoome basti gaanv, Har chaadar ke gher se baahar nikle paanv

Sabki pooja ek si alag alag har reet, masjid jaaye maulvi koyal gaaye geet

Pooja ghar mein moorti mira ke sang shyaam Jiski jitni chaakri utne uske daam

Saaton din bhagawaan ke kya mangal kya pir Jis din soye der tak bhookha rahe fakir

Achhi sangat baitha kar sangi badle roop Jaise milkar aam se meethi ho gai dhoop

Sapna jharna neend ka jaagi aankhein pyaas Pana khona khojna saanson ka itihaas

Chaahe geeta vaachiye ya padhiye quraan Mera tera pyaar hi har pustak ka Gyaan------

1 comment: